Padhai study kaise kare


Padhayi Study Kaise Kare – Tips aur Tarike Hindi Me 

 Hello Friends, aaj hum janenge padhayi / study kaise kare, sabse aasan tarike. Padhai karne ke aise kuch tips me share krunga jisse aapko padhai karna mushkil nahi lagega. Har student ka ek he prashn rehta he ki padhai kaise kare, exam me achche marks kaise laye, Is tips padh kar aap exam se bilkul nahi darenge. Aapko pareshani hoti hogi ki aap bohot padhte he, par exam ke vakt sab bhul jate he, uska karan he tension (Tanav). Chaliye jante he kuch important tips to study. Padhe : Man Ko Kendrit Kaise Kare – Concentration Badhane Ki Jankari Hindi Me. Padhayi ka tarika – Planning Bohot se log exam ke tin char din pehle apni study start krte he. Ye sabse bura tarika he. Ise padhayi nahi kehte. Jab aapka year ya semester start hota he, tab ussi vakt decide kar le ki, is saal muze mere dosto se achche marks lane he, wo aapka ek decision aapka result badal sakta he. Day one se aapko padhayi start karni chahiye. Aur aise nahi ki ek hi din me do tin chapter khatam kar de aur agle char pach din uski practice na kare, Uski bajah, roj thoda thoda study kare. Jab bhi padhai karte vakt bore hone lage ya fir alas aane lage to aap thode der ke liye relax kar sakte ho. Sabse accha tarika he planning. Jab koi cheej aap plan karte ho toh use pura bhi kare. Jab aap kuch padhayi ke liye plan kar rahe ho toh, jada plan na kare, utna hi syllabus plan kare jitna aap se ho payega. Aur sirf ek hafte ki planning kare. Use pura kare, fir dusre hafte ki planning, use pura kare. Is tarah ek ke subject ki planning kare. Iska faayda ye rahega ki, aapko exam ke vakt raat raat tak jaagna nahi padegaa. Aur, saara syllabus aapne already padha hoga, to aapko sirf revision karni rahegi. Man ko ekagra rakhne ke liye jaroori he meditation. Meditation se aap ghanto tak full concentration se padhai kar sakte he. Hame pehale study plan create karana hai. Isse ham hamara padhe ka goals ore padhe ka time create karana hai. Study plan create karane se hame bahut faayade hote hai. Jaise ki ham hamara study achchese organized kar sakate hai ore hame kitane gred mil sakate hai hame pata chal sakata hai. Padhiye Padhai karte vakt Bore Hone Par Kya Kare. Jane Man ko ekagra karne ke liye kya kare. Mind Set Kare Jab bhi padhayi karna chahoge, us vakt aapki man ki sthiti achchi honi chahiye. Kyon ki jab bhi aap kuch padhoge, us vakt sabse jada aapka man kam karega. Aap kya padh rahe he usko achchi tarah samajne ke liye aapka man shant hona jaroori he. Is liye aapko achchi tarah aapne man ko kabu me lana he. Jab aap padhayi ke liye baithenge aapka man dusri taraf nahi bhatkna chahiye. Padhiye kaise aapke man ko kabu me kare. Meditation se Man ko kabu me kare. Man ki ekagrata sabse important he. Padhai karte vakt hamara mind fresh rehna bohot jaroori he. Thaka hua man kabhi kuchh padh nahi sakta. Agar aap thake hue man se padhai kar rahe ho to wo time waste he. Padhayi ka Samay Mai salah dunga ki aapke padhayi ka samay subeh ka rakhe. Kyo ki subah ke samay me aapni Grasping Power jada hoti he. Isliye Jab bhi aap apni padhayi plan kare to usme subeh ke samay ko jada mahatwa de. Agar subeh aap do ghante bhi padhayi karte he, to aap ant me exam me sabse jada marks la sakoge. Rojana 1 se 2 ghante tak ki padhayi bohot jaroori aur mahatwapurn he. Skill Badhaye Sabase pehale hame padhane ko homework nahi samajana chahiye. Student samajte hai padhaai aur homework ek hi baat hai. par un dono ka kaam alag alag hai. Hame usko alag alag task me divide karana chahiye. Homework hame gharpe ek padhae karane ka ek tarika hai. homework ka meaning hota ki jo hamane classroom me padha hota he uska firase gharpe study karna. Isse hamara skill badhata hai aur hamaari extra padhai hoti hai aur wo padhai ham kaha bhi use kar sakte hai. Class me sab se hoshiyar kaise bane.

Post a Comment

0 Comments