RAM kese badaye Andriod phone ki

Android Phone Ki Ram Badane Ki ProcessAndroid phone ki ram badane ke kai sare tarike hai lekin aaj mai aapko ek simple tarika badate wala hu jo ki ek application ke jariye kiya ja sakta hai.ROEHSOFT RAM EXPANDER (SWAP)ye ek aisa application hai jo memery card ke partition bana kar aapne phone ke ram space badata hai.  Is method se aapne phone ki ram badane ke liye aapka phone root hona jaruri hai, Phone root kaise karte hai iske bare me mai pehle hi bata chuka hu agar aapko pata nahi hai android phone root kaise karte hai toh aap uski jankari yaha pad sakte hai

:-Android

:-( is process ke liye hume kya kya lagega )
*.One Rooted Android Phone

*.One 4 Gb Memory Card

*.ROEHSOFT RAM EXPANDER ( Application )

Note :-Aapke memory card me agar kuch important files hogi toh use kahi aur copy karke jarur rakhiye kyu ki jab hume swap file banayenge Memory card format bhi hosakta hai.Android Phone Ki Ram Badane Ke Liye Niche Diye Gaye Steps Follow Kariye

*.First of all aapne Rooted Android  phone meROEHSOFT RAM EXPANDERye application download karke install kariye. ( Google me search kare “DownloadROEHSOFT RAM EXPANDER” aur is app ko download karle. )

*.Then apna phone restart karle.

*.Then ROEHSOFT RAM EXPANDER open kare

*.Sabse upar ki jo green color ki line hai (SwpFile) uspar aapko ek dot dikhega usko right ko drag kariye jitni Mb aapko ram badani hai utna drag kariye.  Line ke baju me aapko Mb dikhega so jitni Mb ram aapko badani hai utna dot ko drag kariye.

*.Then ek same green line aapko uske niche dikhegi jiseSwappinesskehte hai uske upar ek dot dikhega usko pura ( full) right site ko drag kariye.

*.Then Active par tap kariye aur swap file create hone tak wait kariye.

*.Jaise hi aap active button par touch karoge swap file create hona chalu ho jayega, swap file 100% create hone ke bad sab application close kariye aur ek bar aapna phone restart kariye aapke phone ki ram ab bad chuki hogi. Yad rakhiye ye jo ram badegi setting me jakarchek na kare kyu ki ye method se humare phone ki vertual ram badti hai yesetting me show nahi karega par aapka phone fast ho jayega.

Final words :-So aapna experiance comment ke throughjarur share kariye ga.  agar aapko ye post pasand aa gai hogi toh facebook par aapne dosto ke sath jarur share kariye.  Post me mujhse kuch galti ho gai hogi tohcomment ke through mujhe bata kar help jarur kare have a happy.

Post a Comment

0 Comments